Showing posts with label Zaitoon Ke Tel Ke Fayde - Islami Wazaif zaitoon ke tel ke fayde in hindi zaitoon ka tel ke fayde sarso ke tel ke fayde. Show all posts
Showing posts with label Zaitoon Ke Tel Ke Fayde - Islami Wazaif zaitoon ke tel ke fayde in hindi zaitoon ka tel ke fayde sarso ke tel ke fayde. Show all posts

Friday, December 18, 2015

Zaitoon Ke Tel Ke Fayde - Islami Wazaif


Allah ke zaitoon ke darakht ko mubarak yani barkat wala kaha hai.
NabiKareem (P.B.U.H) ne zaitoon ko beshtar beemario ka ilaj qarar diya
hai.Aap (P.B.U.H) ne zaitoon ki tareef farmai. Hazrat Abu Hurera (R.A)
se riwayat hai ke Aap (P.B.U.H) ne farmaya "Zaitoon ka tel khao or ise
lagao kiyounke yeh pak saaf or mubarak hai."**
*
*
*Zaitoon Ke Tibbi Fawaid:*
1. Zaitoon ke tel ki malish karne se jism ko quwat hasil hoti hai.
2. Patho ka dard jata rehta hai. Arq Un Nisa ka behtareen ilaj hai.
3. Zaitoon ke tel mo marham (ointment) mein shamil kar ke laganay se
zakham bhar jatay hein.
4. Nasoor (Hamesha rehnay wala phora) ko mundamil karne mein zaitoon se
barh kar koi dawa behtar nahi.
5. Zaitoon ka tel tezabiyat (Acidity) ko khatam karta hai.
6. Meda (Stomach) mein cancer ya zakham ki soorat mein zaitoon ka tel
shafi ilaj hai.
7. Khali pet zaitoon ka tel zakhmo par dawa ka kaam karte hue meday ko
durust karta hai.
8. Badan ki khushki ko door karne or jildi amraz for example chunbal or
khushk ganj mein mufeed hai, saans ke har qisam ke amraz ka behtareen
ilaj hai.
9. Dama (Asthma) ke marz ka is se behtar koi ilaj nahi.
10. Influenza or Pneumonia ke khilaf quwat-e-mudafia't paida karta hai.
Zaitoon ka tel kalonji mein mila kar naak mein dalna nakseer ke liye
mufeed hai.

Zaitoon 1 darakht hai jis ka phal zaitoona kehlata hai us phal se jo tel
hasil kiya jata hai use roghan-e-zaitoon kaha jata hai. Zaitoon or
roghan-e-zaitoon ke beshumar khuwas or fawaid hein, zaitoon or
roghan-e-zaitoon ke baray mein kai Ahadees mein bhi zikar hai or baaz
hawalo se ise 70 beemario ke liye shafi qarar diya gaya hai.**