Thursday, March 31, 2016

JADUGAR EVAN PRET KE AAPAS KA SAMJHAUTA

JADUGAR EVAN PRET KE AAPAS KA SAMJHAUTA
Assalam oalaikum,

Vishva mein jitna kala jadu prachalit hai ajkal us sab ke piche jadugar evan shaitan ke beech ka samjhauta hota hai. Jadugar jadu tona karne ke liye shaitan per poorna roop se nirbhar hota hai. Jadugar ko woh saari shakityan kewal shaitan se hi praapt ho sakti hain jin ke upyog se woh victims ko haani pahuncha sakta hai. Parantu jadugar ka shaitan se shaktiyan praapt karna saral  nahin hota hai. Usko sarvarathamko shaitan ko prasanna karna hota hai taki woh shaitan ki sveekriti praapt kar sake. Shaitan ko trupt karna atyant kathin hai kyunki aisa karne ke liye anek shaitani kaarya karne pad sakte hain jo kewal jadugar jaisa ghrinaaspada vyakti hi kar sakta hai. Is prakaar ke shaitani karya jadugar ko logon se chhup kar karne padte hain kyunki who kaarya ghrinaaspada evan bhayankar prakaar ke apraadh hote hain. Jis shaitan se jadugar shaktiyan praapt karne ka abhilaashee hota hai woh shaitan ek samooh ka sardar hota hai evan uske samoooh mein anek prêt/jinnat hote hain jo us ke aagyakaari hote hain. Antatah, jab jadugar shaitan ko prasanna kar deta hai to shaitan apne samooh se kisi moorkh pret/ jinn ko yeh kaarya saump deta hai ke woh jadugar ki sahaayata kare jadu karne mein.
Ab jadugar ko yeh adhikaar hota hai ke woh us jin se kuch bhi karwa sakta hai chaahe kisi pati- patni mein alagaaw karwaana ho athwa kisi ko kisi ke prem ke jaal mein fanswaane ho.
Sanyog se yadi kisi jinn ne jadugar ki aagya ka paalan nahin kiya to jadugar shaitan se uski shikayat kar deta hai jis ke parinaam swaroop shaitan fir us jinn ko dand deta hai. Fir woh kisi anya jinn ko jadugar ki sahaayata karne ke liye niyukt karta hai.
Prayah, jinnat evan jadugar ke beech tanaav utpann ho jata hai evan jinn jadugar ke shatru ho jate hain kyunki un ko apni ichha ke virudh jadugar ke sab karrya sampanna kar ne padte hain. Yadi unke man mein apne samooh ke sardar ka bhay na ho to woh kabhi bhi jaduagr ke vash mein nahin aasakte hain. To woh prayah uktaa ker vidroh karte hain. Jadugar se oob kar jinnat us ke parivar ke sadassyon ko tang karna aarambha kar dete hain. Inhi vidrohi jinnaton ke kaaran jadugar svayam sankat mein aa jaata ha. Us ke sar mein sadev peeda rahti hai evan us ko raatri ke samay sapne nahin dikhte. Raatri mein jadugar ke man mein ghabrahat utpanna karte hain jinnat evan chote mote jadugar to santaan ke sukh se vanchit rah jaate hain kyunki vidrohi evan uttejit jinat unki santaan ko kok mein hi maar daalte hain. Yehi karan hai ke kuch jadugar yeh line chhor dete hain taaki unke ghar mein santaan ho sake.

No comments:

Post a Comment