Thursday, March 31, 2016

JADUGAR KO PEHCHAANE KE ABHILAKSHANA


JADUGAR KO PEHCHAANE KE ABHILAKSHANA
 Assalam oalaikum,
Main aap sab ko jadugaron ke kuch aise lakshana bataunga is post jin se un ko pehchaanna evan un se kinaara karna sambhav ho jaae. Saamanyata, jadugaron mein nimnalikhit lakshana dekhe jaate hain:
·         Jadugar ke chalne ke dhang mein vinamrata nahin hoti. Woh aytant akad ker chalta hai.
·         Jadugar mein uchchata manogranthi hoti hai
·         Woh svayam ko aparaajeya hai
·         Yadi koi us ko Allah (swt) evan Aakhrat se bhaybheet karna chahe to woh hans ker taal deta hai. Wo Allah (swt) mein koi aastha nahin rakhta
·         Jadugar Allah (swt) evan Us ke Kalaam (Quran Paak) se bair rakhta hai
·         Jadugar gupt roop se mutra evan mala khaata hai
·         Woh pashu ka vadha karne se poorva Bismillah nahin kahta
·         Woh vyaktiyon ke aage atyant krodhit mudra mein rahta hai
·         Usko netra laal rahte hain
·         Woh apne ghrinaaspada vyavasaaya ke kaaran sadev vyaakul rahta hai
·         Woh paison ka bhooka hota hai evan dhan ki laalsa usko kuch bhi karne per vivash kar sakti hai
·         Woh madira ka sevan karta hai
·         Striyon ke gupt angon ko kaamuk nazar se dekhta hai
·         Sehwaas karne ki ichha atyant teevra hoti hai jadugar ke man mein
·         Jadugar kufriya mantra ka jaap karta hai
·         Woh vyaktiyon ki ma ka naam poochta hai bahaane bahaane se taki baad mein jadu kar sake.
·         Jadugar apne graahakon se kabhi kabhi koi pashu mangwaata hai aur uska rakt graahak kr shareer per laga deta hai
·         Jadugar qabristaan ke gorkun ke sath saajhedaari kar ke nai qabron ki soochna le leta hai hai evan nai qabron per pahunch jaata hai taki us qabar ke humzad ko apne vash mein kar le
·         Jadugar apne graahakon se kahta hai ke kuch din tak ke liye jal se dur rahna. Yeh is baat ka chinnha hai ke woh jis prêt se kaarya karwa raha hai woh Isaai hai
·         Jadugar apne clients ko aadesh deta hai ke woh kisi kaksha mein andhkaar ker ke rahein evan aalok se bachein. Yeh woh is kaaran se kahta hai kyunki jadugar ke samast kaarya andhkaar mein hi sampanna hote hain. Jadu tona din ke ujaale mein prabhaavheen ho jata hai
·         Yadi jadugar kisi vyakti se baat karte mein us ke sar ke ooper dekhe evan ishaare baazi kare netra ghuma ghuma ker to saamne wale vyakti ko samajh lena chahiye key yeh harkat koi jadugar hi kar sakta hai
·         Jadugar ke kathan kuch is prakaar ke hote hain: “Mera kaata paani nahin maangta, tum ko mere pairon mein girna padega, tumhara dhan Maulvi kaayenge, main mun ke saamne aakraman nahin karta-peeth piche karta hun”.
Yadi jeevan mein kabhi is prakaar ka koi vyakti mil jaae to us se bina kisi mutbhed ke- chaturaai ke sath- kinaara kar lena chahiye.

No comments:

Post a Comment